Shri Gayatri Chalisa

||doha||

Hrim, Shrim, Klim, Medha Prabha, Jeevan, Jyoti, Prachand |
Shanti, Kranti, Jagruti, Pragati, Rachana, Shakti Aakhand ||
Jagat Janani, Mangal Karni, Gayatri Sukh Dham |
Pranavo Savitri, Swadha, Swaha Puran Kaam ||

Bhoorbhuvahswah Om Yut Janani, Gayatri Nit Kalimal Dahani,
Akshar Chaubis Param Puneeta, Inme Base Shastra Shuti Geeta,

Shashwat Satoguni Satrupa, Satya Sanatan Sudha Anoopa,
Hansarudh Swetambhar Dhari, Swarn Kranti Suchi Gagan Bihari;

Pustak Pushpa Kamdal Mala, Subhra Varna Tanu Nayan Vishala,
Dhyan Dharat Pulkit Hit Hoi, Sukh Upjat Dukh Durmati Khoyi,

Kamdhenu Tum Sur Taru Chaya, Nirakar Ki Adhbut Maya,
Tumhari Sharan Grahe Jab Koi, Tarai Shakat Sankat So Soi;

Saraswati Lakshmi tum Kali, Deepa Tumhari Jyoti Nirali,
Tumhari Mahima Paar Na Pave, Jo Sharad Sutmukh Gun Gaven,

Char Ved Ki Matu Puneeta, Tum Brahmani Gauri Seeta,
Mahamantra Jitne Jag Mahi, Kou Gayatri Sam Nahi;

Sumirat Hriday Mein Gyan Prakashe, Aalas Paap Avidhya Nase,
Shristi Beej Jag Janani Bhavani, Kal Ratri Varda Kalyani,

Brahma Vishnu Rudru Sur Jete, Tum Sau Pave Surta tete,
Tum Bhaktan Ki Bhakt Tumhare, Jananihin Putra Pran Te Pyare;

Mahima Aprampar Tumhari, Jai Jai Jai Tripada Bhayhari,
Poorit Sakal Gyan Vigyana, Tum Sam Adhika Na Jag Mein Aana,

Tumahin Janu Kahu Rahe na shesha, Tumahin pae Kachu Rahne na Klesha,
Janat Tumahin Tumahin Hihe Jai, Paras Parsi Kudhatu Suhai;

Tumhari Shakti deepe Sab Thai, Mata Tum Sab Thor Samai,
Graha Nakshtra Brahmand Ghenere, Tun Gativan Tunhare Prere,

Sakal Shriti Ki Pran Vidhata, Palak Poshak Nasak Trata,
Mateshwari Daya Vrat Dhari, Tun San Tare Patki Bhari;

Japar Kripa Tumari Hoi, Ta Par Kripa Kare Sab Koi,
Mand Buddhi te Buddhi Bal Paven, Rogi Rog Rahit Ho Javen,

Daridra Mite Kate Sab Peera, Nashe Dukh Hare Bhav Peera,
Griha Kalesh Chit Chinta Bhari, Nase Gayatri Bhav Hari;

Santati Hin Su Santati Pave, Sukh Sampati Yut Mod Manave,
Bhoot Pishah Sab Bhay Khave, Yam Ke Doot Nikat Nahi Aave,

Jo Sadhva Sumre Chit Lai, Achhat Suhag Sada Sukhdai,
Ghar Var Shukhprad Rahe Kumari, Vidhva Rahe Satyavrat Dhari;

Jayati Jayati Jagdamba Bhawani, Tum Sab Aur Dayalu Na Dani,
Jo Sadguru So Diksha Pave, So Sadhan Ko Saphal Banave,

Sumiran Kare Suruchi Badbhagi, Lahen manorath Grahi Viragi,
Astha Siddhi Nav Nidhi Ki Data, Sab Samarath Gayatri Mata;

Rishi Muni Yati, Tapasvi, Jogi, Arat Arthi Chintit Bhogi,
Jo Jo Sharan Tumari Aave, So So Manvanchit Phal Paven,

Bal Buddhi Vidya Shil Swabhavu, Dhan Vaibhav Yash tej Uchaau,
Sakal Badhe Upje Sukh Na Na, Jo Yah Path Kare Dhari Dhayana;

Yeh Chalisa Bhakti Yut Path Kare Jo Koi,
Ta Par Kripa Prasanta Maa Gayatri Ki Hoi.

Aum Bhoor Bhuvaha Swaha,  Tat Savitur Varenyam;
Bhargo Devasya Dhimahi, Dhiyo Yo Naha Prachodayat

||doha||
Yah chalisa bhakti yut paath karai jo koi,
Taapar kirpa prasannata gayatri ki hoy;







Upcoming Festivals & Vrat 2024











The Divine News











Humble request: Write your valuable suggestions in the comment box below to make the website better and share this informative treasure with your friends. If there is any error / correction, you can also contact me through e-mail by clicking here. Thank you.

EN हिं