Jai Pretraj Kripalu Meri, Araj Ab Sun Lijiye |
Main Sharan Tumhari Aa Gaya Hun, Nath Darshan Dijiye ||
Main Karun Vinati Aapse Ab, Tum Dayamay Chit Dharo |
Charano Ka Le Liya Aasra, Prabhu Veg Se Mera Dukh Haro ||
Sir Par Mormukut Kar Me Dhanush, Galbich Motiyan Mal Hai |
Jo Kare Darshan Prem Se Sab, Katat Tan Ke Jal Hai ||
Jab Pahan Bakhtar Le Kharag, Baayi Bagal Me Dhal Hai |
Aisa Bhayankar Rup Jinka, Dekh Darpat Kal Hai ||
Ati Prabal Sena Vikat Yoddha, Sang Me Vikral Hai |
Tab Bhoot Pishach Baandhe, Kaid Karte Hal Hai ||
Tab Rup Dharte Vir Ka, Karte Taiyari Chalan Ki |
Sang Me Ladake Jwan Jinki, Thah Nahi Hai Balan Ki ||
Tum Sab Tarah Samarth Ho, Prabhu Sakal Sukh Ke Dham Ho |
Dushton Ke Maranhar Ho, Bhakton Ke Pooran Kaam Ho ||
Mai Hun Mati Ka Mand Meri, Buddhi Ko Nirmal Karo |
Agyan Ka Andher Ur Me, Gyan Ka Dipak Dharo ||
Sab Manorath Siddh Karte, Jo Koi Seva Kare |
Tandul Boora Ghrit Meva, Bhent Le Aage Dhare ||
Suyash Sun Kar Aapka, Dukhiya To Aaye Dur Ke |
Sab Stri Aru Purush Aakar, Pade Hain Charan Hajur Ke ||
Lila Hai Adbhut Aapki, Mahima To Aparmpar Hai |
Main Dhyan Jis Dam Dharat Hun, Rach Dena Mangalachar Hai ||
Sevak Ganeshpuri Mahant Ji, Ki Laaj Tumhare Haath Hai |
Karna Khata Sab Maaf, Unki Dena Hardam Saath Hai ||
Darbar Me Aao Abhi, Sarkar Me Haajir Khada |
Insaaf Mera Ab Karo, Charano Me Aakar Gir Pada ||
Arji Bamujib De Chuka, Ab Gaur Is Par Kijiye |
Tatkal Is Par Hukm Likh Do, Faisla Kar Dijiye ||
Maharaj Ki Yah Stuti, Koi Nem Se Gaya Kare |
Sab Siddh Karaj Hoy Unke, Rog Pida Sab Tare ||
“Sukhram” Sevak Aapka, Usko Nahi Bisraiye |
Jai Jai Manau Aapki, Bede Ko Par Lagaiye ||